The King of Music [1948-1997]
NusratSahib.Com   NUSRAT FATEH ALI KHAN
His Life, Lyrics, Albums, MP3, Videos, Interviews, Live Concert, Anniversay, Books, Fan Quotes

Aap Baithe Hain Balin Peh Meri Lyrics Nusrat Fateh Ali Khan [NusratSahib.Com]







    Lyrics - Thoughts in the Worlds

Dekh Kar aap ki Jawani Ko,
Haalat Jua-e-sarab hoti hai
Roj Toba Ko todta hu magar
Roj Niyat Kharab Hoti Hai.

Aap Ke waste Gunah sahi
Hum Piye to sawab banti hai
So Ghamo ko nichodne ke baad
Ek Katra Sarab banti hai


Tumari Mast Nazar Gumar kya Kehna
Nashe Mein Gark Sari Kayenaat Honi Lagi

Ja Talkh Sehkh..

Janat Ke Tasubar mein Jawani Gujri..


Main .......meri ..

Main Sarabi Sahi....
Aadmi ka lahuu nahi peeta...

Sar jis paa na jhuk jaya, Osay Daar nahi kahatay
Her Daar pa jo jhook jaya, Osay Sar nhai Kahtay
Kya Tujh ko jaha walay sitamgar nahi kahatay
Kahatay honga lakin teray mou pa nahi kahatay


Kabay main her ek Sajaday ko kahaty hain Ibadat
Mainkhanay main her jaam ko Sagar nahi kahatay
Kabay main Muslma ko bhi kah detain hain Kafir
Mainkhanay main Kafir ko bhi Kafir nahi kahaty


Saqi ne...

Aisi Pilai ke aaj ke Deewana Kar Diya
....
Rinda Ne kayanaat ko mehkhana kar diya


----------------

Mohabbat Ki Koi Manzil Nahi Hai,
Mohbbat Mouj Hai Saahil Nahi Hai
Meri Afsurdagi Peh Hanse Wale,
Tere Pehlo Mein Shayad Dil Nahi Hai



Ajj Hum nay youn he khushi karli,
Dil jala kar he roshni karli
Atay jatay raha karo sahib,
Anay janay main kyun kami karli



Doub Kar teri neli anhkhon main,
Ghark hum na tu zindagi karli
Ek fakat teri dosti ka liya,
Sari duniya say dushmani karli



Jo nazar aar par ho jaye,
Wohi dil ka qaraar ho jay
Apni zulfon ka daal do saya,
Teergi khushgawar ho jay



Teri Nazron ko dekh paye agar,
Shaikh bhi maigusaar ho jay
Tujh ko daikhe jo ik nazar Foran,
Chand bhi sharam saar ho jay



Aaina apne samnay se hata,
Yeh na ho khud se pyar ho jay
Maut Kiss tarhay aya Bali per,
Tuo agar ek baar ho jay


...........


Aap Baithe Hain Balin Peh Meri,
Maut ka zoor chalta nahi hai
Mout mujh ko gawara hai lakin,
Kya karo dum nikalta nahi hai



Yeh adda yeh Nazakat Brasil,
Mera dil tum par Kurban lekin
Kya Sambhaloge tum mere dil ko,
Jab ya Anchal sambhalta nahi hai


Mere Naalo ki sun kar Zabanay,
Ho gai Moum kitni chataanay
Main na Pighla diya Pathraon ko,
Ek tera dil pighalta nahi hai

मेरे नालो की सुण कर जुबाने,
हो गई मोम कितनी चटाने
मैंने पिघला दिया पत्थरों को,
इक तेरा दिल पिघलता नहीं है



Sheikh jee ke nasiyat bhi achi,
Baat waiz ke khoob lakin
Jab bhi chaatee hai Kaali Ghataya,
Bin piya kam chalta nahi hai


Dekha lay meri maiyat ka manzar,
Loug kandha badlatay chalay hain
Ek teri bhi Doli chali hai,
Koi Khandha badlata nahi hai

देख ले मेरी मय्यत का मंज़र,
लोग कांधा बदलते चले हैं
एक तेरी भी डोली चली है,
कोई कांधा बदलता नहीं है


Mainkdha ka sabhi peenay walay,
Larkhara kar Sambhlatay hain lakin
Teri nazroon ka jo jaam pee la,
Umer bhar wo Sambhlata nahi hai

Aap Baithe Hain Balin Peh Meri,
Maut ka zoor chalta nahi hai

   The Legend USTAD NUSRAT FATEH ALI KHAN SAHIB


« Previous Lyrics
Next Lyrics »


   Comments - NusratSahib.Com






Comment Box is loading comments...