The King of Music [1948-1997]
NusratSahib.Com   NUSRAT FATEH ALI KHAN
His Life, Lyrics, Albums, MP3, Videos, Interviews, Live Concert, Anniversay, Books, Fan Quotes

Qasid Ki Umeed Hai Yaro Purnam Lyrics Nusrat Fateh Ali Khan | NusratSahib.Com








Title : Qasid Ki Umeed Hai Yaro
Album : Shasawar Karbala Ki Shasawari Ko Salaam Vol. 16
Singer: Nusrat Fateh Ali Khan
Genre : Hindi/Urdu-Qawwali




Continue For Audio Album Download Video Lyrics »

   Lyrics - Thoughts in the World

Nazar Onchi ki To Dua Ban Gai
Nazar Onchi ki To Dua Ban Gai
Nazar Onchi ki To Dua Ban Gai
Nazar Neechi ki To Haya Ban Gai
Nazar Tirchi Ki To Ada Ban Gai
Nazar Phair Lee To Qaza Ban Gai

Shab e Ghum Ki Sehar Nahi Hoti
Shab e Ghum Ki Sehar Nahi Hoti
Ho Bhi To Mere Ghar Nahi Hoti
Zindagi Tu He Mukhtasir Ho Ja
Shab e Ghum Mukhtasir Nahi Hoti

Achi Soorat Ko Sanwarne Ki Zaroorat Kia Hai
Sadgi Mein Bhi Qayamat Ki Ada Hoti Hai
Tum Jo Aa Jaate Ho Masjisd Mein Ada Kerne Namaz
Tum Ko Maloom Hai Kitno Ki Qaza Hoti Hai Namaz

Duzdeeda Nigaho Se Na Daikho Mujh Ko
Wehsi HAi Yeh Mera Dil Yeh Machal Jaye Ga
Bikhri Hui Zulfein Na Hatao Rukh Se
Zanjeer Mein Qaidi Hai Nikal Jaye Ga

Mohabat Ki Koi Manzil Nahi Hai
Mohabat Moj Hai Sahil Nahi HAi
Meri Afsurdagi Pe Hasne Wale
Tere Pehlu Mein Shahyad Dil Nahi Hai

Naamagar Un Se Yeh Kehna Nizaa Ka Hangaam Hai
Ibtida-e-Khat Nahi Yeh Akhri Paigaam Hai

Qasid Ki Umeed Hai Yaaro
Qasid To Aa Jaye Ga
Lekin Hum Uss Waqat Na Ho Ge
Jab Un Ka Khat Aaye Ga

Kehte Hai Kis Ko Dar-e-Mohabbat
Kon Tumhe Batlaaye Ga
Piyar Kisi Se Ker Ke Daikho
Khud He Pata Chal Jaye Ga

Kitni Lateef Shay Hai Mohabbat Na Pochiye Bus
Iss Meethe Meethe Dard Ki Lazat NA Pochiye Bus

Mohabbat Tu Ne Jab Se Zindagi Barbad Ker Di Hai
To Lab Khamosh Hote Hai Nazar Fariyad Kerti Hai

Aey Dost Mohabbat Hai Woh Nazuk Si Haqeeqat
Mehsoos Jise Kerte Hai Samjha Nahi Sakte

Mohabbat Ki Nahi Jaati
Mohabbat Ho He Jati Hai

Lutaf-e-Dozakh Bhi Hai Lutaf-e-Jannat Bhi
Ae Haye Kia Cheez Hai Mohabbat Bhi

Thaam Ke Dil Reh Jaye Gay Woh

[Raag]

Thaam Ke Dil Reh Jaye Gay Woh
Daikh Ke Meri Mayyat Ko
Mera Janaza Jab Ke Nikal Ker
Un Ki Gali Se Jaye Ga

[Raag]

Thaam Ke Dil Reh Jaye Gay Woh
Daikh Ke Meri Mayyat Ko
Mera Janaza Jab Ke Nikal Ker
Un Ki Gali Se Jaye Ga

Thokar Khane Wali Rahi
Iss Mein Khata Rehbar Ki Nahi
Jo Na Chale Ga Daikh Ke Rasta
Raah Mein Thokar Khaye Ga

Lutne Ka Afsoos Baja Hai
Lekin Ae Lutne Walo
Kis Ko Khabar Thi Qafila Aa Ker
Manzil Pe Lutt Jaye Ga

Sheesh-e-Dil Uss But Ne Tora
Purnam Iss Mein Hairat Kiya
Toot He Jaye Ga, Jo Sheesha
Pathar Se Takraye Ga

Qasi Ki Umeed Hai Yaaro
Qasid To Aa Jaye Ga
   The Legend USTAD NUSRAT FATEH ALI KHAN SAHIB